Baal lambe karne ka tarika ya Long Hair Tips in Urdu Hindi mein jan-ne ke liye yeh post poori parhiye.
Har jawan khatoon ki khawahish hoti hei ke uske Baal lambe aur ghane hon.
Kiyunke ghane lambe Baal hamesha se hi husn ki alamat samjhe jaate hein.
Lekin iske liye Baalo ki dekh bhaal ke mamool mein tabdeeli ke ilawa mustaqil mizaji ke sath koshish karne ki zaroorat hoti hai.
Agar aapke Baal us tarha se nahin barh rahe, jaise aap chahte hein, to sahi rehnumai ke liye mundarja zail tajaweez ko baghor parhiye.
Baal lambe karne ka tarika aur kuch nehayat karamad tajaweez
Sab se pehle to apni rozmarra ki ghiza par khasoosi tawajja dein.
Vitamins se bharpoor aik mutawazan khurak aapke Baalo ko girne aur tootne se bachati hei.
Aisi ghizayi ashiya istemal karein jin mein Protein wafir miqdar mein payi jaati ho, kyunki yeh Baalo ke liye behtreen hoti hein. Jaise ke Doodh, Dahi, paneer, Anda, Machli, Gosht aur Lobia.
Iske alawa aik aur ghizai juz hei Omega 3 fatty acids, jo baalo ke liye intehayi mufeed hei. Yeh baalo ki jardo ko mazboot banata hei. Yeh ghizai juz roghni Machli yani Salmon waghera mein khasi miqdar mein maujood hota hei. Jabke khushk mewo khasoosan Akhrot ke ilawa Alsi ke beejon mein bhi ye paya jata hei.
Kya aap jante hein ke Baalo ko siron ki taraf se agar baqaydgi se mamooli sa kaat-te rahein, to is se baal tezi se barhne lagte hein. Is maqsad ke liye har thore arse ke baad ziyada se ziyada aadha inch tak kaatna munasib hei.
Baalo ke liye Tail ka istemal bhi bohat mufeed hei. Lekin zaroori hei ke Tail Baalo ki Jardon mein ache se jazab ho. Is maqsad keliye Tail ko halka garam kar ke Baalo ki Jardon mein lagaiye. Aur baalo ko tauliye se 2 ghante keliye lapait dein. Iske baad kisi ache Shampoo se dho lejiye.
Janiye Balo ko sidha karne ke gharelu tarike
Aap ghusal karne ke baad bhi Tail laga sakti hein. Iska fayda yeh ho ga ke ghusal ki waja se jild par jami meil utar jaye gi. Masaam khul jayein ge aur yun Tail jardon mein achi tarha jazab ho kar fayda de ga.
Agar Balo ki ache se safayi na ki jaye to gardo ghobar aur paseenay ki waja se sar ki jild par meil ki aik teh si ban jati hai. Jiski waja se jild ko oxygen ki farahmi mein rukawat paida hoti hei. Aur yun nashonuma ka amal ruk jaane ki waja se baal girne lagte hei. Sar ki jild ki behtreen safayi ke liye Multani mitti ka laip bohat fayda mand hei.
Multani mitti ko pani ke sath mila kar aik paste sa bana lein. Aur is ko baalo mein lagaye aur phir 10 se 15 minutes ke baad dho lejiye. Yeh jild ko saaf kar ke nasirf Oxygen ki farahmi ko bahal karta hai. Balke is se khoon ki rawani mein bhi izafa ho jata hai. Yun baalo ki jardo ko protein aur vitamins ziyada milne se inki nashonuma mein tezi aah jati hai. Yeh amal hafte mein aik ya do baar karna munasib hai.
Apne Baalo ki mazbooti ke liye aap apne sar ki malish ya masaaj bhi karwa sakti hein. Masaaj se sar ki taraf khoon ki gardish barhti hei, jis se aapke baalo ki jardon ko taqat milti hei.
Baal lambe karne ke liye aik zabardast aur aasan Nuskha
Kya aap ko maloom hei ke Piaz aapke Baalo ki mazbooti aur in ko lamba karne ke liye aik behtreen cheez hai. Iske rus mein aise ajza paye jaate hei jo Baalo ki kharabi ko na sirf door karte hain. Balke naye baal bhi ugaate hei. Iske liye aap 2 adad darmiyan size ke Piaz lein. lekin yaad rahe ke Piaz red color ke hone chahiye. Warna matlooba results nahin milein gay.
Ab inko chote tukdon mein kaat kar aik daigchee mein daal lein. Aur phir is mein aik glass saaf pani daal kar 10 se 12 minutes tak ubaliye. Iske baad isko chulhe se utaar kar dhanp dein aur poori raat pada rehne dein. Subha ko yeh pani gulabi color ka ho jaye ga. Ab is mein aadhe lemo ka rus mila dein. Aur iske baad isko chhan kar kisi bottle mein mehfooz kar lein. Yeh 7 din tak ke liye karamad hei. Is mahool ko aap fridge mein mehfooz kar sakte hein.
Jabke istemal keliye rozana raat ko yeh mehlool apne baalo par achi tarha se lagaiye. Aur subha uth kar dho lejiye. Aik month ke istemal se hi aapko wazeh farq nazar aaye ga. Yeh aik bohat hi asan Baal lambe karne ka tarika hei.